Kehte hai bahduro ke kisse ajeeb
hote hai
Kyuki inhe dushman nahi apne hi
daga dete hai...
Aaj hum aapke liye laaye hai us
yoddha ki kahani jo ajey tha jise harana namumkin tha. aadha shareer gavane ke
baad bhi jiska samna karne ki himmat kisi me nahi thi lekin kaise iski
maut ke baad bharat ka itihas badla.
kaun tha wo mahaan veer.....
Ye baat tab ki hai jab babar
Kabul se Hindustan fatah karne ke liye ek vishal fouj lekar nikla. Wo na sirf
hindustan pe kabza karna chahta tha balki apne desh me ab tak jhel chuki sari
haar ka badla bhi lena chahta tha.
Babur ek lambe safar ke baad
akhir kar hindustan ki zameen par peshawar, lahore, shree nagar se hote huye
punjab me Jhelam nadi ke kinare pahunchne Mein Kamyab Ho Gaya
Babar bharat aane ke baad apne
delhi aur pure hindustan ka sultan banne ke apne lakshya ko haqiqat banane me
jut gaya.
Daulat khan lodi ke bulave par
bharat aaye babar ne kayi riyasaton ko apne kabze me kiya aur ant me, uska
pehla bada yuddh - panipat me ibrahim
lodi ke khilaf lada. usme jeet hasil kar babur ne ye sabit kar diya ki wo sirf
ek videshi akramanakari nahi hai balki wo yaha ka badshah banne ke liye aaya
hai. Ibrahim lodi ki panipat ke yuddh me maut hone ke baad lodi vansh samapt ho
gaya aur is tarah babur ne Delhi mein apni badshahat Kayam kar li
hindustan me uski hukumat to abhi
bas shuru hi huyi thi. Apni saltanat ko sahi mayno me jamane aur yaha lambe
samay tak badshah bane rehne ke liye use abhi kayi bade yuddh jitne the Aur
panipat ki jeet ke baad uska agla muqabla mahan Yoddha Raana Sanga se Hone wala
tha. Rana Sanga ka asli naam sangram Singh tha. Wo mahan maharana kumbha ke
pote aur Rana raimal Ke chote bete the. Apne Shasan kaal mein Rana Sanga Delhi
Malwa aur Gujarat per Kai bar chadhaai kar Chuke the
Aisa kehte hai bharat me rana
sanga ke daur me unse yuddh me takkar lene wala ek bhi raja maujud nahi tha.
Sanga delhi me afgano ko harakar apni hindu satta waha fir se kayam karna
chahte the lekin babar ke aane se unhe ye raah thodi mushkil dikhayi dene lagi
kyuki babar na sirf delhi me balki pure bharat me apni badshahat failana chahta
tha. Aur is sab ki wajah se sanga ne Babur ko delhi ka sultan manne se hi inkar
kar diya.
Sanga khud ko bharat ka Samrat
mante the aur isi wajah se unke rajya ki sarhade agra tak faili huyi thi aur yaha se unka agla lakshy delhi par
chadhayi kar ke waha apna rajyabhishek
karwana tha . Aur dusri taraf babar ko bhi ye baat bahot jald samajh me
aa gayi ki Rana sanga ke hote huye wo kabhi bhi hindustan fateh nahi kar
paayega. Aur isi wajah se dono ke saamne apni hukumat aur apna varchasv banaye
rakhna ek chunauti ban gaya. Babur bharat me apne per jamane ke liye kayi chote
bade rajyo par aakraman kar ke apna samrajy badhata ja raha tha aur apni sena
ko mazbut se aur mazbut karta ja raha tha. Is tarah Babur ki hindustan jeetne
ki bhookh badhti hi ja rahi thi aur jis tarah wo ek ke baad ek jeet hasil kiye
ja raha tha usse saaf zahir tha ki uska muqabala Rana Sanga se ek din jarur hoga
Sanga ab tak ye samajh kar chup
baithe huye the ki babur dusre afghano ki tarah kuch waqt ke liye yaha lutpat
kar ke wapas chala jayega lekin wo jis tarah apne rajya ki seemao ko badha raha
tha Rana sanga ne samajh liya tha ki babar ka hindustan chodne ka koi irada
nahi hai. is taraf satta hasil karne ki bhookh me andhe ho chuke babur ki
nirdayata kayi guna badh gayi thi aur isi ke chalte usne agra, bayana, kalpi
aur dhaulapur jaisi riyasaton par apna kabza jama liya aur inme se kuch Rana
sanga ke rajya ki simaao me aate the. Ye sab hota dekh kar sanga ab chup
baithne wale nahi the aur akhir kar
unhone babur ko sabak sikhane ki thani. iske liye sanga ne rajasthan ke
sare bade rajao ko bulava bheja aur
babur ke khilaf ek bahot badi sena ikatthi kar li.
Is aag me ghee ka kaam kiya 2
logo ne. Hasan khan mewati aur mahmood lodi ne sanga ko babur ke khilaf yuddh
karne ke liye uksaya ye keh kar ki usne aapke rajyo ko hadap liya hai. Aur is
tarah rana sanga apni vishal sena lekar agra aur bayana ko wapas hasil karne ke
liye rawana ho gaye. Bayana ke mughal shasak ko harane ke baad sanga ne sikri
ko bhi apne kabze me liya. Aur yahi bahur ki sena ka ek hissa padav dale huye
tha. Lagatar mil rahi haar ki wajah se babur ki sena ab dar gayi thi. Babur ke
kuch karibi sainiko ne use kabul wapas laut jane ki salah bhi de dali lekin jab
babur ne dekha ki uske bahaduro ka hausla tut raha hai to usne kabhi sharab na
pine ki kasam unke samne khayi. Unki pagar duguni kar di. Unse liye jane wale
sare kar maaf kar diye lekin sainiko ka hausala kisi bhi tarah wapas nahi aa
raha tha tab bahur ne aakir me jihad ka nara diya aur jaise mari huyi sena me
josh ki leher daud gayi. Babur ki sena naye josh se labrej ho kar sanga se
ladne nikal padi.
Babur ki sena ne rajasthan ke
bharatpur zile ke khanwa namak sthan par aakar padav daal diya. Babur ne
chalaki se sanga ke lodi senapati ko lalach dekar sena sahit apni taraf bula
liya.
Bigul nagade ranbheri baj uthi
aur is tarah ye aitihasik yuddh shuru ho gaya aur dono senaye aapas me ladne
lagi.
Babur apni sena ka piche se
naitrutva kar raha tha jabki rana sanga apni sena ke aage apne hathi pe sawar
hokar yuddh ka margdarshan kar rahe the. Babur ne panipat ke yuddh me jis tarah
se ibrahim lodi ko apni nayi tuluguma paddhati se haraya tha wahi ran niti usne
yaha khana me bhi dohrane ka faisla kiya. Use pata tha bharat me aag ugalne
wali topo ka istemal isse pehle kisi ne nahi kiya tha aur isi baat ka fayda
uthakar usne apne topkhano ko sena ke pichle hisso me chupakar rakh diya
Dekhte hi dekhte dono senao ke
sainiko me
bheeshan yuddh shuru ho gaya.
Sanga ki sena ke veer rajputo ne kuch hi waqt me babur ki sena ko charo taraf
se gher liya. Rana sanga ne kam samay me hi yudhh ko apne paksh me kar liya.
Rajput Afghan sainiko ko ladne ka mauka diye baghair tabadtod unko parast kiye
ja rahe the. Jab maidan me sanga ki jeet pakki hoti dikhayi daur jab uski sena
babur ki taraf badhne lagi tabhi babur ne apni sena ke pichle hisso me topkhane
kholne ka sandesh bhijava diya.
Aur kuch hi palo me aag ugalte
top ke gole sholo ki tarah sanga ki sena par garajne lage. Rajput sainiko ne
aisa kuch pehle kabhi nahi dekha tha. Aag darshate wo gole sekdo rajput sainiko
ko apni chapet me le rahe the. Sanga ki sena ka ek bada hissa in topo ki wajah
se hatahat ho gaya. Hazaro sainik ghayal ho gaye aur hazaro ne apni jaan
gawayi.
Apni sen ako is tarah nasht hota
dekh kar rana sanga aag babula hokar bhi chitkar ke saath afgha sainiko par
bijli ki tarah tut pade. Babur bahot soch samajh kar ye yuddh lad raha tha.
Uske paas har musibat ka hal tha. Uski sena ke teerandazo ne rana sanga par
nishana lagana shuru kar diya. Is hamle me ek teer sanga ko lag gaya wo dard se
behosh hokar hathi se niche gir gaye. Unki is halat ko dekh kar unke ek vishwas
patr sipahi ne unhe yuddh ke maidan se bahar bhijwa diya aur khud unka shahi
bakhtarbadh pehen kar maidan me ladne laga.
Rana ke ghayal hone ki khabar
jald hi rajput sainiko me aag ki tarah fail gayi aur unka hausla tutne laga.
Babur ko yahi to chahiye tha. Uski sena se prachand veg se bachi khuchi rajput
sena par hamla bol diya. Rajput sainik mare gaye aur is tarah khanwa ke maidan
me babur ki sena ne rajputo ko puri tarah nasht kar diya. Aur is tarah Babur ne
khanwa ke yuddh ko apne naam kar diya.
Jab rana ko hosh aaya tab tak
bahot der ho chuki thi. Yuddh se aise peeth dikha kar aana unke rajputi shan ke
khilaf tha. Ghayal hone ke bawajud unhone apne kuch bache huye sainiko ko fir
se ikattha kiya aur fir yuddh ladne ki taiyari karne lage. Ghayal aur kamzor
hone ki wajah se unhe khane ke liye jab baithaya gaya to unke hi ek bharosemand
ne unke khane me zeher mila diya.
Aur is wajah se ranbhumi ke bahar
ek mahan veer ko apne hi logo ne is duniya se vida kar diya. Ek aur sachha
hindu raja apne logo ki gaddari ki bhent chadh gaya aur bharat ko fir se ek
hindu rashtra banane ka unka sapna sapna hi reh gaya.
Dhokhe se hi sahi lekin Babur ye
jung to jeet hi li. Aur is jeet ki khushi me Babur ne khud ko ghazi ki padvi se nawaza.
Aur is tarah 17 march 1527 ka din
bharat ke itihas me hamesha ke liye darj ho gaya. Aur is yuddh ke baad Babur ne
bharat me mughal saltanat ko kayamkar diya.
No comments:
Post a Comment